jindagi itani pareshan bhi nahi....jitni ye lagti hai...
jindagi itani khub-soorat to hai...jitni hume dikhati nahi..
tu rakh apne paro.n par bharosaa..jindagi to parindo.n ki bhi aasan nahi..
wo legi imtehaan bahut raah-dar-raah par..iska majaa bhi kisi chahat se kam nahi...
tu raftaar ban..tufaan ki raah rok...jaha bhi ruke waha ek naya saveraa kar..
chalaa-chal ki parvato.n se aage nikal..har ek mod par ek naya mukaam haasil kar..
kar guzar kuch aisa ki har pal ek naya rang ho..
aur samandar ko bhi teri pyaas ho aisa ek dariyaa ban..
aarzoo itani guzare tere daaman se ki....
ek din fir zindagi ko bhi teri chahat ho...
apne gumo.n ko tu is kadar istemaal kar ki fir...
zindagi ko bhi tujh sang jeene ki khwaaish ho..

No comments:
Post a Comment